padhna likhna sikhae achchhi rah batae bad se hamein bachae achchha bachcha banae bhayya pyara pyara ghanti khub bajae basta bhi latkae maktab le kar jae jaldi se pahunchae rickshaw pyara pyara phulon par itrae khushbu bhi bikhrae ghar aangan mahkae hariyali bhi lae gamla pyara pyara bhayya le kar jae circus bhi dikhlae laddu bhi khilwae jo chaho mil jae mela pyara pyara jab jab ye lahrae sab ki shan badhae jis ke hath ye aae aage badhta jae jhanda pyara pyara tariki mein aae bistar tak pahunchae lori bhi sunwae sapne bhi dikhlae sona pyara pyara sab ko mar bhagae jo dekhe dar jae ulti shamat lae dushman koi aae danda pyara pyara barish mein kaam aae bahar le kar jae khud to bhiga jae lekin hamein bachae chhata pyara pyara jagmag rup dikhae chanda rijha jae rasta bhi batlae lekin hath na aae tara pyara pyara tal kar munna khae khagina banwae salan mein pak jae munni ko lalchae anda pyara pyara jab ye mausam aae sehat khub banae dheron kapde lae phir bhi dur na jae jada pyara pyara khana jab bhi aae aage badh kar lae hum ko sab khilwae khud bhuka rah jae chamcha pyara pyara bazaron mein nikle hath mein sab ke latke jo kuchh bhi ye dekhe apne pet mein rakhe thaila pyara pyara mitha mitha khao munna bole lao jaldi se pakwao sara chat kar jao halwa pyara pyara chahe koi bulae sab ki god mein jae dekhe to lalchae toffee biscuit chae nanha pyara pyara pani thanda kar de sar pe katora rakhe daude aaen pyare jo chahe wo pi le matka pyara pyara surat rang birangi haalat bhi hai achchhi bistar ka hai sathi aadat mein hai narmi takiya pyara pyara garmi dur bhagae thanda mausam lae thodi bijli khae behtar kaam banae pankha pyara pyara cham cham chamka jae bijli sa lahrae jaldi jaldi aae sath mein chalta jae juta pyara pyara sab se pahle jage ped pe chadh ke baithe diwaron par bhage kukdun kukdun chikhe murgha pyara pyara ghar mein daud lagae bahar bhag ke jae billi par ghurrae nanhe ko bahlae kutta pyara pyara pith pe hamein bithae sarpat daud ke jae manzil par pahunchae tab ja kar sustae ghoda pyara pyara jaldi se uth jae chikhe aur chillae dana patte khae phir bhuka rah jae bakra pyara pyara pinjre mein par tole thumak thumak kar dole jab bhi munh ko khole mithi boli bole tota piyare pyara rui ko liptae dhaga banta jae hathon mein bal khae bal kha kar lahrae takla pyara pyara choron se lad jae daku se takrae jo bhi chabi lae us ke bas mein aae tala pyara pyara sadken bhi dikhlae galiyon mein le jae kaun kidhar ko jae bhed ye sab batlae naqsha pyara pyara kaliyon par mand lae phulon se batlae nache jhume gae masti mein lahrae bhaunra pyara pyara shab ko munh dikhlae suraj se sharmae baadal mein chhup jae raat hote hi aae chanda pyara pyara jhil ke pas hi baithe chhoti machhli pakde hans ho koi jaise moti khane aae bagula pyara pyara aankhon se lag jae rahat hi pahunchae kale kale shishe abr ke tukdon jaise chashma pyara pyara mera hamdam sathi aisa na hoga koi surat bhi hai pyari sirat bhi hai achchhi basta pyara pyara waqt pe so kar uthe waqt pe apne khele waqt pe padhne jae awwal number aae bachcha pyara pyara