sach hai pyasi hun main behad pyasi lekin tum se kis ne kaha ki tum meri pyas bujhao kahin ziyaada khali ho tum mujh se kahin ziyaada rete aur tumhein ehsas tak nahin bharna chahte ho tum apna khali-pan meri pyas bujhane ke nam par tajjub hai mujhe mukammal banana chahta hai ek aadha adhura insan