barish girti hai matyali qabron par barish girti hai hadd-e-nazar tak jal-thal sila sila khwab musalsal yaad nahin main ne barish ko pahli bar kahan dekha tha khidki mein ya khwab mein chhat par ya dariya ke kinare africa ke bachchon ki banjar aankhon mein ya bangal mein nangi lashon wale sogi sahilon par kitni barishen dafn hain jaane is barish ke niche ek gali ke thande pani mein bhula bachpan chalta tha ek mahakta aanchal koi gila chehra ponchh raha tha jaane kahan main phenk aaya hun wo dil aur wo jute tairti takhtiyan bhige baste pyasi kuk kisi koyal ki dur hari tanhai mein ek git jo us ke lab ne mere lab se jud kar gaya tha ek jalti bujhti sham judai sawan ki pahli bundon mein jis ne itne rang bhare the meri umr ke khali-pan mein aaj khud us ka apna koi rang nahin matyali qabron par barish girti hai be-maqsad hai jaise zindagi be-mani hai jaise maut