sab ke liye na-pasandida udti makkhi kitni aazadi se mere munh aur mere hathon par baithti hai aur is roz-marra se aazad hai jis mein main qaid hun main to subh ko ghar bhar ki khak sametti jati hun aur mera chehra khak pahanta jata hai dopahar ko dhup aur chulhe ki aag ye donon mil kar war karti hain gardan pe chhuri aur angara aankhen ye mera sham ka roz-marra hai raat bhar shauhar ki khwahish ki mashaqqat meri nind hai mera andar tumhaara zahr har tin mahine baad nikal phenkta hai tum bap nahin ban sake mera bhi ji nahin karta ki tum mere bachche ke bap bano mera badan meri khwahish ka ehtiram karta hai main apne nilo nil badan se pyar karti hun magar mujhe makkhi jitni aazadi bhi tum kahan de sakoge tum ne aurat ko makkhi bana kar botal mein band karna sikha hai