uth ki mita jata hai qaum ka sara waqar daman-e-izz-o-waqar dast-e-ghulami se tar ho bhi zara hoshiyar mard-e-zalalat-shiar uth ki mita jata hai qaum ka sara waqar nur-e-guhar-bar ban parda-e-zulmat nahin lamha-e-rahat nahin arsa-e-ishrat nahin pahli si rifat nahin agli si shaukat nahin nur-e-guhar-bar ban parda-e-zulmat nahin tu wahi insan hai ta-ba-falak jo gaya rifat-e-parwaz la auj-e-surayya pe ja sarmadi naghma suna sote huon ko jaga tu wahi insan hai ta-ba-falak jo gaya soz nahin saz ban ghaib ki aawaz ban mulk ka shahbaz ban qaum ka dam-saz ban surat-e-eajaz ban taqat-e-parwaz ban soz nahin saz ban ghaib ki aawaz ban qaum tabah aur tu haif ki khamosh hai dil mein na kuchh josh hai mahw-e-gham-e-dosh hai aish mein madhosh hai ahd-faramosh hai qaum tabah aur tu haif ki khamosh hai nind ke mato utho phenk do jam-o-ayagh bujh gaya qaumi charagh lut gaya millat ka bagh dho bhi do zulmat ka dagh dil ka lagao suragh nind ke mato utho phenk do jam-o-ayagh