raat ka aakhiri pahar bhi rakht-e-safar bandh raha hai mere kamre mein khamoshi aur tariki do budhi saheliyon ki tarah ek dusre mein gum hain main hath mein garm chae ki pyali liye soch rahi hun ki mujhe kya sochna chahiye kya use jo mera kuchh bhi nahin to phir use kya sochna chalo apne mustaqbil ke raushan khwab aankhon mein zinda karte hain magar khwab kya un ki tabir waqai raushan hogi kise khabar hai achanak kaise murghe ki aawaz aai aur mujhe yun laga jaise us ne dur se kisi ko pukara ho pukar main ne aisa kyon socha kya mere sine mein bhi koi pukar dafn hai nahin chhodo aur phir bahut se murghe chillane lage jaise kisi bichhde hue ka matam kar rahe hon uf phir kya khayal aaya main un ki aawazon ko wasl ka git bhi to kah sakti thi mujhe ye aawazen nauha kyon lagin kya mere andar bhi kisi se bichhadne ka gham pinhan hai nahin to mujhe kisi se bichhadne ka gham kyon kar hua are koi kutta bhaunka main ne khidki se bahar jhanka andhera dur tak aur andhere se mujhe phir kuchh yaad aaya andhera andhera wo bhi to apne mahaul ko andhera kaha karta hai nan wo wo lekin nahin mujhe use nahin sochna to phir soch rahi hun ki mujhe kya sochna chahiye