uthao mashal chalo wo basti qarib-tar hai jahan basera hai be-gharon ka ye log wahshat-zada ki jin ke udas chehron pe be-yaqini ki dastan hai aur in ki aankhon ke raste mein is ahd ki karbala ka manzar saja hua hai ye log mahsur ho gae hain jawan kitne hi in ke hum ne qatil-e-tegh-e-jafa kiye hain ab in ke bachche ya in ke bhai ye hurriyat ke nae sipahi nahif hathon mein le ke patthar samajh rahe hain ki fath in ke nasib mein hai ye kitne majbur ho gae hain to ai sipah-e-amir-e-zulmat badhao lashkar nihatte bachchon aur auraton ko bahaduri ke dikhao jauhar dikhao jauhar uthao mashal zamin to hum ne kal in ke qadmon se khinch li thi chalo ki sar se falak bhi khinchen