rukhsat hua wo bap se le kar khuda ka nam rah-e-wafa ki manzil-e-awwal hui tamam manzur tha jo man ki ziyarat ka intizam daman se ashk ponchh ke dil se kiya kalam izhaar-e-be-kasi se sitam hoga aur bhi dekha hamein udas to gham hoga aur bhi dil ko sambhaalta hua aakhir wo naunihaal khamosh man ke pas gaya surat-e-khayal dekha to ek dar mein hai baithi wo khasta-haal sakta sa ho gaya hai ye hai shiddat-e-malal tan mein lahu ka nam nahi zard rang hai goya bashar nahi koi taswir-e-sang hai kya jaane kis khayal mein gum thi wo be-gunah nur-e-nazar ye dida-e-hasrat se ki nigah jumbish hui labon ko bhari ek sard aah li gosha-ha-e-chashm se ashkon ne rukh ki rah chehre ka rang haalat-e-dil kholne laga har mu-e-tan zaban ki tarah bolne laga aakhir asir-e-yas ka qufl-e-dahan khula afsana-e-shadaid-e-ranj-o-mehan khula ek daftar-e-mazalim-e-charkh-e-kuhan khula wa tha dahan-e-zakhm ki bab-e-sukhan khula dard-e-dil-e-gharib jo sarf-e-bayan hua khun-e-jigar ka rang sukhan se ayan hua ro kar kaha khamosh khade kyun ho meri jaan main jaanti hun jis liye aae ho tum yahan sab ki khushi yahi hai to sahra ko ho rawan lekin main apne munh se na hargiz kahungi han kis tarah ban mein aaankhon ke tare ko bhej dun jogi bana ke raj-dulare ko bhej dun duniya ka ho gaya hai ye kaisa lahu sapid andha kiye hue hai zar-o-mal ki umid anjam kya ho koi nahi jaanta ye bhed soche bashar to jism ho larzan misal-e-bid likkhi hai kya hayat-e-abad in ke waste phaila rahe hain jal ye kis din ke waste leti kisi faqir ke ghar mein agar janam hote na meri jaan ko saman ye baham dasta na sanp ban ke mujhe shaukat-o-hasham tum mere lal the mujhe kis saltanat se kam main khush hun phunk de koi is takht-o-taj ko tum hi nahi to aag laga dungi raj ko kin kin riyazaton se guzare hain mah-o-sal dekhi tumhaari shakl jab a mere naunihaal pura hua jo byah ka arman tha kamal aafat ye aai mujh pe hue jab safed baal chhatti hun un se jog liya jin ke waste kya sab kiya tha main ne isi din ke waste aise bhi na-murad bahut aaenge nazar ghar jin ke be-charagh rahe aah umr bhar rahta mera bhi nakhl-e-tamanna jo be-samar ye ja-e-sabr thi ki dua mein nahi asar lekin yahan to ban ke muqaddar bigad gaya phal phul la ke bagh-e-tamanna ujad gaya sarzad hue the mujh se khuda jaane kya gunah manjdhaar mein jo yun meri kashti hui tabah aati nazar nahi koi amn-o-aman ki rah ab yan se kuch ho to adam mein mile panah taqsir meri khaliq-e-alam bahal kare aasan mujh gharib ki mushkil ajal kare sun kar zaban se man ki ye fariyaad-e-dard-khez us khasta-jaan ke dil pe chali gham ki tegh-e-tez aalam ye tha qarib ki aanhken hon ashk-rez lekin hazar zabt se rone se ki gurez socha yahi ki jaan se bekas guzar na jae nashad hum ko dekh ke man aur mar na jae phir arz ki ye madar-e-nashad ke huzur mayus kyun hain aap alam ka hai kyun wafur sadma ye shaq aalam-e-piri mein hai zarur lekin na dil se kijiye sabr-o-qarar dur shayad khizan se shakl ayan ho bahaar ki kuchh maslahat isi mein ho parwardigar ki ye jal ye fareb ye sazish ye shor-o-shar hona jo hai sab us ke bahane hain sar-ba-sar asbab-e-zahiri mein na in par karo nazar kya jaane kya hai parda-e-qudrat mein jalwa-gar khas us ki maslahat koi pahchanta nahi manzur kya use hai koi jaanta nahi rahat ho ya ki ranj khushi ho ki intishaar wajib har ek rang mein hai shukr-e-kird-gar tum hi nahi ho kushta-e-nairang-e-rozgar matam-kade mein dahr ke lakhon hain sogwar sakhti sahi nahi ki uthai kadi nahi duniya mein kya kisi pe musibat padi nahi dekhe hain is se badh ke zamane ne inqalab jin se ki be-gunahon ki umren huin kharab soz-e-darun se qalb o jigar ho gae kabab piri miti kisi ki kisi ka mita shabab kuchh ban nahi pada jo nasibe bigad gae wo bijliyan girin ki bhare ghar ujad gae man bap munh hi dekhte the jin ka har ghadi qaem thin jin ke dam se umiden badi badi daman pe jin ke gard bhi ud kar nahi padi mari na jin ko khwab mein bhi phul ki chhadi mahrum jab wo gul hue rang-e-hayat se un ko jala ke khak kiya apne hat se kahte the log dekh ke man bap ka malal in be-kason ki jaan ka bachna hai ab muhaal hai kibriya ki shan guzarte hi mah-o-sal khud dil se dard-e-hijr ka mitta gaya khayal han kuchh dinon to nauha-o-matam hua kiya aakhir ko ro ke baith rahe aur kya kiya padta hai jis gharib pe ranj-o-mehan ka bar karta hai us ko sabr ata aap kirdgar mayus ho ke hote hain insan gunahgar ye jaante nahi wo hai dana-e-rozgar insan us ki rah mein sabit-qadam rahe gardan wahi hai amr-e-raza mein jo kham rahe aur aap ko to kuchh bhi nahi ranj ka maqam baad-e-safar watan mein hum aaenge shad-kaam hote hain baat karne mein chaudah baras tamam qaem umid hi se hai duniya hai jis ka nam aur yun kahin bhi ranj-o-bala se mafar nahi kya hoga do ghadi mein kisi ko khabar nahi akasr riyaz karte hain phulon pe baghban hai din ki dhup raat ki shabnam unhen giran lekin jo rang bagh badalta hai na-gahan wo gul hazar pardon mein jate hain raegan rakhte hain jo aziz unhen apni jaan ki tarah milte hain dast-e-yas wo barg-e-khizan ki tarah lekin jo phul khilte hain sahra mein be-shumar mauquf kuchh riyaz pe un ki nahi bahaar dekho ye qudarat-e-chaman-ara-e-rozgar wo abr-o-baad o barf mein rahte hain barqarar hota hai un pe fazl jo rabb-e-karim ka mauj-e-sumum banti hai jhonka nasim ka apni nigah hai karam-e-karsaz par sahra chaman banega wo hai mehrban agar jangal ho ya pahad safar ho ki ho hazar rahta nahi wo haal se bande ke be-khabar us ka karam sharik agar hai to gham nahi daman-e-dasht daman-e-madar se kam nahi
Please share if you liked this!!!