sadiyon ka safar tai kar ke waqt ke darwaze par pahunchi to malum hua ratjagon ka mara waqt din chadhe tak so raha hai wo jo kabhi ruka nahin kisi ke aage jhuka nahin mere aane se pahle use nind kyon aa gai hatheliyon pe dastakon ke hazar-ha nishan hain aur use khabar nahin shikastagi samet kar panw mein bandh lai hun ab aablon mein sakat nahin ye masafat bhi raegan na jae kahin mujhe waqt ko jagana hai aur use batana hai ki main ne umr ke jis tandur mein apne dukh dabe the wo phir se agni mang raha hai ninden ab tak sulag rahi hain