wahi bakra mera mariyal sa bakra jise bablu ke bakre ne bahut mara tha wo bakra wo kal phir khwab mein aaya tha mere dahaden mar kar rota hua aur nind se uth kar hamesha ki tarah rone laga main khata meri thi main ne hi ladaya tha use bablu ke bakre se use malum tha pitna hai us ko magar phir bhi wo us mote se ja kar bhid gaya tha meri izzat ki khatir wo bhi qurbani se bas kuchh der pahle magar papa to kahte hain wo jannat mein bahut aaram se hoga wahan angur kha kar khub mota ho gaya hoga to kyun rota hai wo khwabon mein aa kar wo kyun rota hai aa kar khwab mein ye to nahin malum mujh ko mujhe to ye pata hai wo jab jab khwab mein rota hua aaya hai mere to agle roz bablu ko bahut mara hai main ne