main ne interwiew kiya kal ek roza-khor se main zaban se bolta tha wo shikam ke zor se main ne puchha aap ne roza ye kyun rakkha nahin pet dikhlane laga bola ki yun rakha nahin roza yun rakkha nahin chalti nahin baad-e-saba mausam-e-garma mein roze aae hain is martaba job karni hai zaruri kaam karna hai mujhe cock pizza ke sahaare sham karna hai mujhe main ne lassi ke gilason mein piya kuchh aur hai dopahar mein murgh khane ka maza kuchh aur hai din mein khane ke liye iqrar kar leta hun main sham ko masjid mein bhi iftar kar leta hun main koi shai khate hue main ne chhupai hi nahin aaj tak meri hui roza-kushai hi nahin roza-khori par meri duniya ko hairani nahin roza yun rakkha nahin bijli nahin pani nahin main jo be-roza hun ye bhi tajiron ka zarf hai sau rupe ujrat hai meri sau rupe ka barf hai ruh-afza ke bina duniya ki huren rah gain roza-daron ke liye sukhi khajuren rah gain roza yun rakkha nahin ho jaega khana kharab lunch par aaegi kal hotel mein rashk-e-mahtab main hun shaer mehrban hai mujh pe khallaq-e-azal pesh karni hai mujhe mahfil mein ek taza ghazal ajr-e-roza kya hai ye sheron mein batlaunga main lunch main iftar ki tashrih ban jaunga main bhuk aur shaer ka chun-ki choli-daman ka hai sath mujh se badh ke jaanta hai kaun roza ki sifat pandrah ghante ka roza har jawan o pir ka sham karna subh ka lana hai ju-e-shir ka