rudad-e-KHizan

kyon tis si dil mein uthti hai kyon dard se ji ghabraata hai
pahle to na tha aisa aalam ab dil kyon duba jata hai

chahat se kisi ki sikha tha gham sahna aur aansu pina
lekin ab to har ashk-e-alam aankhon se tapak hi jata hai

aadab-e-mohabbat ki khatir rahat gham ko samjhe hain to phir
kyon dil se aah nikalti hai kyon chakkar sa aa jata hai

duniya hum se aa kar sikhe pabandi-e-rasm-o-rah-e-wafa
rudad-e-khizan dohraate hain jab zikr-e-bahaar aa jata hai

ai sharm-e-mohabbat jag ki ab kuchh der nahin ruswai mein
pinhan tha jo dil ke parde mein wo dard zaban tak aata hai

ai kash koi us se ja kar ye haal dil-e-barbaad kahe
bimar-e-gham-e-ulfat tera hai naza mein dam ghabraata hai

is tarah tadapne lagta hai rah rah ke dil 'nashad' aksar
jaise ki bagula uthta hai jaise koi tufan aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close