mashshatgi-e-gesu-e-fan muddaton hui aaraish-e-urus-e-sukhan muddaton hui dast-e-saba faza-e-adab par raha muhit tahzib-e-sakinan-e-chaman muddaton hui tazin-e-bostan-e-watan muddaton hui asnaf-e-shaeri nazar aati hain be-asas fann-e-rubaiyat bhi hai aaj harf-e-yas ab marsiya bhi marsiya-khwani kiya kare hazrat-'saba' ki yaad mein hai anjuman udas doshiza-e-ghazal ko hai hadd-e-adab ka pas ab tez-tar hai dhup koi saeban nahin jaen kahan tuyur koi aashiyan nahin ruk kar mile panah bujhe tishnagi jahan raste mein apne ab koi aisa makan nahin shahr-e-'saba' mein ab koi pir-e-mughan nahin