jin galiyon ka suraj rasta bhul gaya ho un mein kisi bhi aahat ka koi git nahin gunja karta bosida darwaze khidkiyan bal khate chobi zinon par nachti rahti hai virani gard-o-ghubar mein dube kamre aapas mein baaten karte hain band dariche sanpon jaisi aankhon se dur-daraaz ko jaane wali sabz ruton ki yaadon mein rote rote so jate hain un sab logon ki yaadon mein jin ki jismon ki khushbu ko saint ke rakhne wale lamhe mah-o-sal ki gard mein dabte jate hain band gharon ki khushbu se khamoshi aur tanhai maut ki baaten karte hain