sach kaho

sach kaho sach kaho hamesha sach
hai bhale-manason ka pesha sach

sach kahoge to tum rahoge aziz
sach to ye hai ki sach hai achchhi chiz

sach kahoge to tum rahoge shad
fikr se pak ranj se aazad

sach kahoge tum rahoge diler
jaise darta nahin dilawar sher

sach se rahti hai taqwiyat dil ko
sahl karta hai sakht mushkil ko

sach hai sare muamalon ki jaan
sach se rahta hai dil ko itminan

sach mein rahat hai aur aasani
sach se hoti nahin pashemani

sach hai duniya mein nekiyon ki jad
sach na ho to jahan jae ujad

sach kahoge to dil rahega saf
sach kara dega sab qusur muaf

sach se zinhaar dar-guzar na karo
dil mein kuchh khauf aur khatar na karo

jis ko sach bolne ki aadat hai
wo bada nek ba-saadat hai

wahi dana hai jo ki hai sachcha
is mein buddha ho ya koi sachcha

hai bura jhut bolne wala
aap karta hai apna munh kala

faeda us ko kuchh na dega jhut
jaega ek roz bhanda phut

jhut ki bhul kar na dalo khu
jhut zillat ki baat hai aakh-thu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close