tumhaari yaad mere dil ka dagh hai lekin safar ke waqt to be-tarah yaad aati ho baras baras ki ho aadat ka jab hisab to phir bahut satati ho jaanam bahut satati ho main bhul jaun magar kaise bhul jaun bhala azab-e-jaan ki haqiqat ka apni afsana mere safar ke wo lamhe tumhaari pur-haali wo baat baat mujhe bar bar samjhana ye panch kurte hain dekho ye panch pajame dale hue hain qamar-band in mein aur dekho ye shawe-box hai aur ye hai old spice nahin huzur ki jhonjal ka ab koi bais ye diary hai aur is mein pate hain aur number ise khayal se bakse ki jeb mein rakhna hai arz hazrat-e-ghaeb-dimagh bandi ki ki apne aib ki haalat ko ghaib mein rakhna ye tin coat hain patlun hain ye taiyan hain bandhi hui hain ye sab tum ko kuchh nahin karna ye william hai 'ontal' hai aur 'tarpati-nal' tum in ke sath meri jaan drink se darna bahut ziyaada na pina ki kuchh na yaad aae jo lucknow mein hua tha wo ab dobara na ho ho tum sukhan ki ana aur tamkanat jaanam mazaq ka kisi 'insha' ko tum se yara na ho wo 'jaun' jo nazar aata hai us ka zikr nahin tum apne 'jaun' ka jo tum mein hai bharam rakhna ajib baat hai jo tum se kah rahi hun main khayal mera ziyaada aur apna kam rakhna ho tum bala ke baghawat-pasand talkh-kalam khud apne haq mein ek aazar ho gae ho tum tumhaare sare sahaba ne tum ko chhod diya mujhe qalaq hai ki be-yar ho gae ho tum ye bank-kar manager ye apne technocrat koi bhi shubh nahin hain ye ek abas ka thithol main khud bhi in ko cro-magnon samajhti hun ye shandar janawar hain daftaron ka makhaul main jaanti hun ki tum sun nahin rahe meri baat samaj jhut sahi phir bhi us ka pas karo hai tum ko taish hai baalishtiyon ki ye duniya to phir qarine se tum un ko be-libas karo tum ek sada o barjasta aadmi thahre mizaj-e-waqt ko tum aaj tak nahin samjhe jo chiz sab se zaruri hai wo main bhul gai ye passport hai is ko sambhaal ke rakhna jo ye na ho to khuda bhi bashar tak aa na sake so tum shuur ka apne kamal kar rakhna meri shikast ke zakhmon ki sozish-e-jawed nahin raha mere zakhmon ka ab hisab koi hai ab jo haal mera wo ajab tamasha hai mera azab nahin ab mera azab koi nahin koi meri manzil pe hai safar darpesh hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh