sal-e-nau ke liye ek nazm

duaen aur duaon se bhari
be-ant tahriren

mujhe har sal ke in aakhiri
lamhon mein milti hain

mere ahbab ke namon mein
aksar darj hota hai

khuda mahfuz rakkhe
sal bhar mujh ko balaon se

mujhe zahrab mein lipti hawaen
chhu ke na guzren

mujhe maujud ke aur aane wale
sal ke lamhe

mubarak-dar-mubarak hon
yahi tahrir main ahbab ko

wapas hun lautata
yahi jazbaat mere doston

ke nam hote hain
magar phir waqt ke hathon

na jaane kya guzarti hai
ki jo bhi tir aata hai

usi jaanib se aata hai
jahan se itr mein duba hua

paigham aaya tha
jahan se sal bhar

mahfuz rahne ka
hasin malfuf

mere nam aaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close