har samt kyon jahan mein phaili hui khushi hai har shai pe aaj bachcho kaisi ye tazgi hai aamad ka subh kis ki paigham de rahi hai tum jaante nahin to lo hum bata rahe hain sab sal-e-nau ki bachcho khushiyan mana rahe hain har shai mein dilkashi hai har shai mein bankpan hai har shakhs aaj dekho masrur hai magan hai har pir shadman hai har tifl khanda-zan hai kuchh log hans rahe hain kuchh muskura rahe hain sab sal-e-nau ki bachcho khushiyan mana rahe hain kaliyan bhi khil uthi hain kaisi chatak chatak kar aapas mein khelti hain shakhen lachak lachak kar khush-amdid bolen chidiyan chahak chahak kar khushiyon mein gum papihe sab ghul macha rahe hain sab sal-e-nau ki bachcho khushiyan mana rahe hain maidan mein aaj makhmal phaili hui hai har su gulshan mein aaj kaisi mahki hui hai khushbu sahra mein ghumte hain khush ho ke aaj aahu pur-kaif ye manazir dil ko lubha rahe hain sab sal-e-nau ki bachcho khushiyan mana rahe hain