meri barahwen sal-girah par sab ne nawaza tohfe de kar abba ek cycle le aae ammi ne laddu banwae didi ne kapde silwae bhayya gend aur balla lae har ek kuchh na kuchh laya tha ek tohfa tha master ji ka master ji lae the khilauna sab se alag sab se nirala ek qatar mein tin the bandar kya khubi thi un ke andar ek tha hath se aankhen munde dusra munh par hath tha rakkhe aur jo tisra bandar dekha hath jo tha kanon par rakkha master ji se puchha main ne kaisa khilauna hai kya jaane kahne lage lo ghaur se sun lo pahle sun lo phir munh kholo ek kahta hai bura na dekho dusra bole bura na bolo aur tisre ka ye hai kahna bura kisi se kabhi na sunna kyun bhai kaisa hai ye tohfa hai ki nahin ye sab ki pasand ka master ji ki baaten sun kar mili nasihat sal-girah par khush the mere ammi abba tohfa dekh ke master ji ka