sal ki aakhiri shab mere kamre mein kitabon ka hujum pichhli raaton ko tarashe hue kuchh mah o nujum main akela mere atraf ulum ek taswir pe bante hue mere khad-o-khal in pe jamti hui gard-e-mah-o-sal ek hayula sa pas-e-shahr-e-ghubar aur mujhe jakde hue khud meri bahon ke hisar koi rauzan hai na dar so gae ahl-e-khabar sal ki aakhiri shab na kisi hijr ka sadma na kisi wasl ka khwab kham hone ko hai bas aakhiri lamhe ka shabab aur ufuq par dhundlakon se kahen khulne wala hai nai subh ka bab is nai subh ko kya nazr karun har taraf phaila hua tez hawaon ka fusun aur main sochta hun dar-o-diwar mein lipte hue sahme hue log gali-kuchon mein nikalte hue ghabraate hue main unhen kaise bataun ki yahi mausam hai jab parindon ke par-o-baal nikal aate hain