ek din mujh se samundar ne kaha kaun uthaega mera bar-e-giran apni aashufta-sari ki khatir main ne qurban kiya aish-e-jahan raat ko chain na din ko aaram umr nashad kati garm-e-fughan muzmahil ho gae aaza mere dast o pa mein na rahi tab o tawan mauj ko khel se fursat hi nahin is subuk sar ko meri fikr kahan kuchh tawaqqo thi mujhe sahil se wo magar nikla faqat reg-e-rawan baadal aate hain chale jate hain ek pal mein yahan ek pal mein wahan is zamane mein ho kis se ummid gham se begana samajh sakta hai dard ka raaz mohabbat ki zaban apne sine mein bitha lo mujh ko ta ki main paun mashaqqat se aman sun ke bechaare ki rudad-e-alam kar liya main ne use dil mein nihan aao dekho mere ashkon mein use ek samundar hai karan-ta-ba-karan