main jahan tha wahan tirgi thi khamoshi thi afsurdagi thi mere kan naghmon se mahrum the siskiyan mere honton ki miras thin meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir thin meri zindagi rakh ka dher thi main yahan aa gaya is tarah khuld mein us musalsal aziyyat se kahish se bachne ki khatir ki jis se faqat ek main hi nahin mere jaise kai aur bhi jaan-ba-lab the tera khuld mere liye mere jaise kai dusron ke liye raushni naghmagi sarkhushi ki alamat tha ye! main jahan hun wahan tirgi hai khamoshi hai afsurdagi hai mere kan naghmon se mahrum hain siskiyan mere kanon ki miras hain meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir hain meri zindagi rakh ka dher hai!