ye sarhaden padosanen kabhi hansi-khushi rahin kabhi zara si baat ho to lad padin na aanganon mein ek sath raqs ho na baam par hi bahami qadam pade gali mein koi khel ho na tal ho, na mel ho kashidgi ke nam par ghutan ki rel-pel ho ye sarhaden padosanen padosanon se kya kahen jahan mein ranjishon ke sab glacier pighal gae magar yahan kuduraton ki barf hai jami hui hawa se kis tarah kahen chale to sirf ek hi taraf chale ye dhup bhi to kab kisi ke bas mein hai ki parbaton ko sarhadon mein bant de ye khar-dar daere kahin bhi khinchte chalo magar kabhi koi sada bhi ruk saki ye khushbuon ke qafile rahenge har taraf rawan gali mein aa hi jaengi mohabbaton ki titliyan ye sarhaden padosanen banengi phir saheliyan!