radio ne das baje shab ke khabar di id ki aalimon ne raat bhar is news ki tardid ki radio kahta tha sun lo kal hamari id hai aur aalim kahte the ye ghair-sharai id hai do dhadon mein bat gae the mulk ke sare awam us taraf sab muqtadi the is taraf sare imam beta kahta tha ki kal shaitan roza rakkhega bap bola tera abba jaan roza rakkhega beta kahta tha ki main sarkari afsar hun janab roza rakkhunga to mujh se manga jaega jawab bap kahta tha ki phir yun baam par iman ke chadh roza bhi rakh aur roze mein namaz-e-id padh aaj kitna farq ful stop aur comme mein tha bap ka roza tha beta id ke jame mein tha ikhtilaf is baat par bhi qaum mein paya gaya chand khud nikla tha ya jabran nikalwaya gaya