sathi mere aao kuchh aur der mera sath nibhao sahil-e-zindagi par chand qadam aur mere sang milao hijr ki tez surkh aandhi chal padi hai aur meri in yatim o bekas tanhaiyon mein bewa man ki tarah bain karti pagal hawaen bolti hain main sakit-o-jamid khadi khamosh lab bhinche tujhe dekhti hun aur sochti hun kash aisa ho tu padh sake meri soch ko hain bachin ab faqat chand mustaar sansen meri nazar mein bhi hain kuchh ajab si dhundlahaten zarb pad chuki hai naqqara-e-kuch par izrail ne jakad rakhi hain meri ye banhen main had se ziyaada majbur hun tum to samajh jao in majburiyon ko chalo is bahte waqt ko amar banao sath mere chand aur saaten bitao aaj phir sang mere tare ginwao hai ab mera safar majaz se haqiqi ki jaanib ek alwida'i bosa mere mathe par sabt karo mujhe apni is mohabbat se aazad karo meri mutthiyon mein hain bahut si yaadon ke jugnu kai rang-dar titliyon ke rang mujhe in tamam yaadon se aazad karo ek bar mutthi khol kar mujhe ud jaane do sathi mere bas itna hi tumhaara mera sath tha chalo ab tum wapas laut jao dhalte suraj ki naranji raushni mein main bhi laut jati hun ufuq ke us par dobara milne ke liye