sozish-e-gham ka bayan lab pe na laun kyunkar dard hai had se siwa dil mein chhupaun kyunkar tu yahin dost mere gham ka mudawa kar de chot jo dil pe lagi hai wo dikhaun kyunkar kaise dohraun gham-e-zist ke afsane ko sunne wala na koi ho to sunaun kyunkar raushni hoti nahin mere siyah-khane mein sham-e-dil ab shab-e-hijran mein jalaun kyunkar silk-e-anjum hain teri yaad mein aansu ab tak tere daman ko sitaron se sajaun kyunkar jab ke tinke ka sahaara bhi nahin hai 'nashad' apni kashti ko talatum se bachaun kyunkar