shab nama

tasht-e-mahtab mein hijr ke khwab mein
dil jahan bhi gaya

lamha lamha jala
wasl ki khwahishen

khak mein khak hoti rahin
barg-e-gul nam-zada gham-zada gham-zada

kah utha main chala
os ke motiyon ko hawa kha gai

zakhm-e-awargi
daman-e-dil mein chup-chap hansta raha

sab purane nae kitne mausam gae
dhund ki us taraf sare manzar wahi

muntazir saf-ba-saf
nind mein koi chup-chap chalta raha

jis ko milna tha kahin
koi khanda-jabin ek chehra hasin

wo safina sa ummid ka gham ki tajdid ka
dur hi dur hota raha

hijr ka taj sar par sajate hue
koi tanha tha tanha hai tanha raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close