zindagi tere liye bistar-e-sanjab-o-samur aur mere liye afrang ki daryuza-gari aafiyat-koshi-e-aba ke tufail main hun darmanda-o-be-chaara adib khasta-e-fikr-e-maash para-e-nan-jawin ke liye mohtaj hain hum main mere dost mere saikadon arbab-e-watan yani afrang ke gulzaron ke phul tujhe ek shaer-e-darmanda ki ummid na thi mujh se jis roz sitara tera wabasta hua tu samajhti thi ki ek roz mera zehn-e-rasa aur mere ilm-o-hunar bahr o bar se teri zinat ke guhar laenge mere raste mein jo hail hon mere tira-nasib kyun duaen tari be-kar na jaen tere raaton ke sujud aur niyaz (us ka bais mera ilhad bhi hai) ai meri sham-e-shabistan-e-wafa bhul ja mere liye zindagi khwab ki aasuda faramoshi hai tujhe malum hai mashriq ka khuda koi nahin aur agar hai to sara-parda-e-nisyan mein hai tu masarrat hai meri tu meri bedari hai mujhe aaghosh mein le do ana mil ke jahan-soz banen aur jis ahd ki hai tujh ko duaon mein talash aap hi aap huwaida ho jae