dekhiye in jine walon ka nishan-e-zindagi dekhiye in marne walon ka jahan-e-zindagi dekhiye in pastiyon mein aasman-e-zindagi dekhiye in khak ke zarron ki shan-e-zindagi baithiye dam-bhar shahidan-e-watan ki khak par dekhiye ruh-e-wafa kya kya ubharti hai yahan dekhiye hubb-e-watan dil mein utarti hai yahan dekhiye dil ki faza kaisi nikharti hai yahan dekhiye rahmat khuda ki tauf karti hai yahan baithiye dam-bhar shahidan-e-watan ki khak par is jagah be-rangiyan bhi aalam-e-taswir hain is jagah tarikiyan bhi shama ki tanwir hain is jagah khamoshiyan bhi ek lab-e-taqrir hain is jagah ruposhiyan bhi dil ki daman-gir hain baithiye dam-bhar shahidan-e-watan ki khak par uth gae duniya se lekin ek duniya ho gae bulbule pani ke the tute to dariya ho gae ye wo the zarraat jo ud kar surayya ho gae ye wo the bimar jo mar kar masiha ho gae baithe dam-bhar shahidan-e-watan ki khak par dil ke ujde bagh ko aabaad hote dekhiye ruh ki afsurdagi ko shad hote dekhiye bandagi ko qaid se aazad hote dekhiye par-shikasta said ko sayyaad hote dekhiye baithiye dam-bhar shahidan-e-watan ki khak par aaiye us khak se kasb-e-fazilat kijiye aaiye qurban us par dil ki daulat kijiye han zara ruk jaiye itni na ujlat kijiye is ziyarat-gah-e-alam ki ziyarat kijiye baithiye dam-bhar shahidan-e-watan ki khak par