utarta jata hai rag rag mein zahr-e-naumidi nazar ko milti hai har samt naqsh naqsh mein yas dil-o-dimagh ka aalam sukut se pur hai wo intiha ki khamoshi ka pahra hai jis par abhi se kyon meri taqdir ho gai mujh ko qadam qadam pe mili zindagi adu ban kar abhi to mere khayalon ko aur rona tha siyah rah-e-tasawwur pe chhai to lekin kuchh is tarah ki sitaron ki nind hi na khuli tamam raat main dukh ki talash karta raha sahar hui to takhayyul ki wadiyon mein mujhe shajar shajar pe nai koft ke dhundalke mile mera nasib ki phir bhi fughan na kar paya mere khayal ye kya hadisa hua aakhir zamana takta hai hairat se yun mujhe jaise ek ajnabi se musawwir ka shahkar hun main