shahr-e-nigar

rukhsat ai ham-safaro shahr-e-nigar aa hi gaya
khuld bhi jis pe ho qurban wo dayar aa hi gaya
ye junun-zar mera mere ghazalon ka jahan
mera najd aa hi gaya mera tatar aa hi gaya
aaj phir ta-ba-chaman dar-e-pai-e-gul-ha-e-chaman
gungunata hua zambur-e-bahaar aa hi gaya
gesuon walon mein abru ke kaman-daron mein
ek said aa hi gaya ek shikar aa hi gaya
baghbanon ko batao gul-o-nasrin se kaho
ek kharab-e-gul-o-nasrin-e-bahaar aa hi gaya
khair-maqdam ko mere koi ba-hangam-e-sahar
apni aankhon mein liye shab ka khumar aa hi gaya
zulf ka abr-e-siyah bazu-e-simin pe liye
phir koi naghma-zan-e-saz-e-bahaar aa hi gaya
ho gai tishna-labi aaj rahin-e-kausar
mere lab par lab-e-lalin-e-nigar aa hi gaya