bazm-e-jahan mein mein bhi hun a sham-e-dardmand faryaad dar girah-e-sifat dana sipand di ishq ne hararat-e-soz-e-darun tujhe aur gul-farosh ashk shafaq-gun kiya mujhe ho sham-e-bazm-e-aish ki sham-e-mazar-e-tu har haal ashk-e-gham se rahi ham-kanar tu yak-bin teri nazar sifat-e-ashiqan-e-raaz meri nigah maya-e-ashob-e-imtiyaz kabe mein but-kade mein hai yaksan teri ziya main imtiyaz-e-dair-o-haram mein phansa hua hai shan-e-ah ki tere dud-e-siyah mein poshida koi dil hai teri jalwa-gah mein jalti hai tu ki barq-e-tajalli se dur hai be-dard tere soz ko samjhe ki nur hai tu jal rahi hai aur tujhe kuchh khabar nahin bina hai aur soz-e-darun par nazar nahin mein josh iztirab se simab war bhi aagah-e-iztirab dil-e-be-qarar bhi tha ye bhi koi naz kisi be-niyaz ka ehsas de diya mujhe apne gudaz ka ye aagahi mari mujhe rakhti hai be-qarar khwabida is sharar mein hain aatish-kade hazar ye imtiyaz-e-rifat-o-pasti isi se hai gul mein mahak sharab mein masti isi se hai bustan-o-bulbul-o-gul-o-bu hai ye aagahi asl kashakash-o-man-o-tu hai ye aagahi subh-e-azal jo husn hua dilsitan-e-ishq aawaz-e-kun hui tapish aamoz-e-jaan-e-ishq ye hukm tha ki gulshan-e-kun ki bahaar dekh ek aankh le ke khwab-e-pareshan hazar dekh mujh se khabar na puchh hijab-e-wajud ki sham-e-firaq subh thi meri numud ki wo din gae ki qaid se main aashna na tha zeb-e-darakht-e-tur mera aashiyana tha qaidi hun aur qafas ko chaman jaanta hun main ghurbat ke gham-kade ko watan jaanta hun main yaad-e-watan fasurdagi be-sabab bani shauq-e-nazar kabhi kabhi zauq-e-talab bani a shama intiha-e-fareb-e-khyal dekh masjud sakinan-e-falak ka maal dekh mazmun firaq ka hun surayya nishan hun main aahang-e-taba nazim-e-kaun-o-makan hun main bandha mujhe jo us ne to chahi meri numud tahrir kar diya sar-e-diwan-e-hast-o-bud gauhar ko musht-e-khak main rahna pasand hai bandish agarche sust hai mazmun buland hai chashm-e-ghalat nagar ka ye sara qusur hai aalam zuhur jalwa-e-zauq-e-shuur hai ye silsila zaman-o-makan ka kamand hai tauq-e-gulu-e-husn tamasha-pasand hai manzil ka ishtiyaq hai gham-karda rah hun a shama mein asir-e-fareb-e-nigah hun sayyaad aap halqa-e-dam-e-sitam bhi aap baam-e-haram bhi tair-e-baam-e-haram bhi aap main husn hun ki ishq sarapa gudaz hun khulta nahin ki naz hun main ya niyaz hun han aashna-e-lab ho na raaz-e-kuhan kahin phir chhid na jae qissa-e-dar-o-rasan kahin