chand meri zamin phul mera watan apne bachchon ko main ne thapak thapak kar jis raat ye lori sunai thi meri be-khwab aankhen hawaon mein rasta tatolte hue bahadur parindon se har shab ulajhti hain kaghaz ke phulon se ye ghar ki raunaq kab tak mere chand jaise chand ye mange ki raushni kab tak bahut gahri nind so gae hain mere ghafil mere masum ye jagen to subh ho