aadmi kis ka eatibar kare jab mohabbat hi ko dawam nahin wo mohabbat bhi kya mohabbat hai chaar din bhi jise qayam nahin kashmakash-ha-e-zindagani se rishta ulfat ka tut jata hai chand lamhon ki bad-gumani se sath barson ka chhut jata hai zud-ranj aadmi ki fitrat hai aur matlab-parast ahl-e-jahan waqiat-e-jahan mein sang-ba-dast aur dil kargah-e-shishagaran kya tajjub hai phir agar is ne kar diya mahw ahl-e-ulfat ko ye wafa ka meri sila bakhsha bhul baithe meri mohabbat ko zindagi bhar nibah ke wade umr bhar ki wafa ke qaul-o-qarar aah na-paedar the kitne jaise zulmat mein hon numud-e-sharar phir bhi us ki taraf se ai hamdam mere dil mein koi ghubar nahin jaanta hun ki ek haalat par gardish-e-charkh ko qarar nahin kar chuka hun muaf use dil se phir bhi ek pech-o-tab hai mujh ko dil ko samjha chuka hun main lekin zindagani azab hai mujh ko apni khuddari-e-wafa ki qasam nahin rona gham-e-judai ka us ki masumi-e-ada ki qasam nahin gham us ki bewafai ka han magar is jahan se hun bezar jis mein mehr-o-wafa ka nam nahin chand roza hayat se hasil jab mohabbat hi ko dawam nahin