mujhe apne bairun ki justuju thi ki wo aankh se apni dekha tha main ne jazaer wo sab rekhta na-rasida jazaer khalaon mein bikhre gire zist-asar ke shaebe jin mein the ab meri justuju ya hawas ka hadaf ban gae the main un ki tamanna liye dilkash o mast rahon mein ek umr ghuma kiya mah-o-anjum ko chuma kya aur kal sham baad-az-safar ba-hazaran zafar apne bairun ki dastyabi ke jashn-e-tarab mein main jab shadman tha yakayak nigah andarun ki taraf mud gai ek shikast-e-ajab zat se jud gai