uthao hath ki dast-e-dua buland karen hamari umar ka ek aur din tamam hua khuda ka shukr baja laen aaj ke din bhi na koi waqia guzra na aisa kaam hua zaban se kalma-e-haq-rast kuchh kaha jata zamir jagta aur apna imtihan hota khuda ka shukr baja laen aaj ka din bhi usi tarah se kata munh-andhere uth baithe pyali chae ki pi khabren dekhin nashta par subut baithe basirat ka apni dete rahe ba-khair o khubi palat aae jaise sham hui aur agle roz ka mauhum khauf dil mein liye dare dare se zara baal pad na jae kahin liye diye yunhi bistar mein ja ke let gae