bandh ke ghunghru siyasat hi nachati hai hamein aur hum nachte rahte hain tawaif ki tarah aur hukumat ke ishaaron pe hamare thumke ye batate hain ki hum bhi hain raza-mand yahan kaun hain kans ya rawan ke taraf-dar kaho kaun hum mein se hai zalim ka taraf-dar kaho waqt be-waqt mile zakhm ke nasur to hain hum bhi isa pe hue zulm se ranjur to hain sun bhi lo hazrat-e-shabbir pe rone walo in mazalim pe yahan ashk-bar hum bhi to hain hain agar ram hamare to tumhaare bhi to hain bas mohammad hain musalman ke to aisa bhi nahin gamzan rah-e-sadaqat pe agar hain hum bhi to ye nanak pe kisi qaum ka dawa kyon ho ab hamein kaun padhata hai ye nafrat ke sabaq ye wahi qaum hai kahte hain siyasat jis ko bandh ke ghunghru siyasat hi nachati hai hamein aur hum nachte rahte hain tawaif ki tarah