hai yahi dastur duniya aur yahi dekha gaya phul se khushbu nikalte hi use phenka gaya bagh-e-hindostan jin ke khun se sincha gaya dar na-qadri pe bil-akhir unhen khincha gaya zindagi mein mil gae kitnon ko sarkari khitab muft mein in ko kharida muft mein becha gaya marne walon ko bhi har eazaz parliament mein ehtimaman warison ke hath mein saunpa gaya the raqam jin mein jihad-o-jang-e-azadi ke bab taq-e-nisyan mein unhi auraq ko phenka gaya hind ki tarikh ka bab darakhshan puchhiye kyun siyasi maslahat ki aag mein jhonka gaya mulk mein firqa-paraston ki hua chal hi gai na kisi ne sarzanish ki na unhen toka gaya tang-nazari bughz aur nafrat-bhare tirshul ko pith mein insaniyat ki is tarah ghonpa gaya hazrat-e-'azad' ko eazaz bhaarat-ratn ka 'khwah-makhwah' un ke pate par dak se bheja gaya