ab dhundli padti jati hai tariki-e-shab main jata hun wo subh ka tara ubhra wo pau phuti ab main jata hun jata hun ijazat jaane do wo dekho ujale chhane ko hain suraj ki sunahri kirnon ke khamosh bulawe aane ko hain wo phulon ke gajre jo tum kal sham piro kar lai thin wo kaliyan jin se tum ne ye rangin sijen mahkai thin dekho in basi kaliyon ki patti patti murjhai hai wo raat suhani bit chuki aa pahunchi subh-e-judai hai ab mujh ko yahan se jaana hai pur-shauq nigaho mat roko o mere gale mein latki hui lachkili baho mat roko in uljhi uljhi zulfon mein dil apna bisare jata hun in mithi mithi nazron ki yaadon ke sahaare jata hun jata hun ijazat wo dekho ghurfe se shuaen jhalki hain pighle hue sone ki lahren mina-e-shafaq se chhalki hain kheton mein kisi charwahe ne bansi ki tan udai hai ek ek rasili sur jis ki paigham safar ka lai hai majbur hun main jaana jo hua dil mane na mane jata hun duniya ki andheri ghati mein ab thokaren khane jata hun