tadap rahe hain jo tufan mere khayalon mein wo band-e-zabt-o-tahammul se aa na takraen ubhar rahi hain jo maujen shikast-e-arman ki wo mera azm-e-musammam baha na le jaen dahan khamosh zaban chup labon pe mohr-e-sukut meri hayat ka maqsad hai gham pe gham khaen khala mein ghur raha hun nuqush-e-mazi ko ye be-yaqini-e-farda mein gum na ho jaen khamoshiyon mein yahan ek hashr barpa hai kahan se dhund ke lamhat-e-pur-sukun laen jo apni sari umidon ka khun ho jae qasam se dast-e-sitam ko sukun ho jae