so rahi thin naddiyan aur jhuk gae the barg-o-bar bujh gaya tha khak ki nabzon mein hasti ka sharar chandni maddham si thi dariya ki lahren thin khamosh be-khudi ki bazm mein tute pade the saz-e-hosh bhini bhini bu-e-gul raqs-e-hawa kuchh bhi na tha sehn-e-gulshan mein udasi ke siwa kuchh bhi na tha ek hijab-e-tiragi tha dida-e-bedar par kuchh dhuan sa chha raha tha husn ke anwar par is dhuen mein ruh ki tabindagi khote hue main ne dekha nau-e-insani ko gum hote hue