suraj ke dam se bachcho duniya mein hai ujala suraj na ho to chehra duniya ka hoga kala suraj mein madde ki haalat plasma hai puchho ye aaj hum se kaisi hai aur kya hai han gas se ziyaada halki plasma hai bachcho ye tez garmi ki khud hi rahnuma hai suraj ki raushni se banta hai bhap pani leti hai janm bachcho baadal ki phir kahani ek surkh shoala ban kar suraj dahak raha hai suraj ki raushni se chanda chamak raha hai solar heateron ko suraj ne di hararat suraj ki ped paudon pe hoti hai inayat 'hafiz' ye sham ko jo chehra hai khud hi faq hai suraj ke dubne se aakash par shafaq hai