main tujhe chahta nahin lekin phir bhi jab pas tu nahin hoti khud ko kitna udas pata hun gum se apne hawas pata hun jaane kya dhun samai rahti hai ek khamoshi si chhai rahti hai dil se bhi guftugu nahin hoti main tujhe chahta nahin lekin main tujhe chahta nahin lekin phir bhi rah rah ke mere kanon mein gunjti hai teri hasin aawaz jaise nadida koi bajta saz har sada nagawar hoti hai in sukut-ashna taranon mein main tujhe chahta nahin lekin main tujhe chahta nahin lekin phir bhi shab ki tawil khalwat mein tere auqat sochta hun main teri har baat sochta hun main kaun se phul tujh ko bhate hain rang kya kya pasand aate hain kho sa jata hun teri jannat mein main tujhe chahta nahin lekin main tujhe chahta nahin lekin phir bhi ehsas se najat nahin sochta hun to ranj hota hai dil ko jaise koi dubota hai jis ko itna sarahta hun main jis ko is darja chahta hun main is mein teri si koi baat nahin main tujhe chahta nahin lekin main tujhe chahta nahin lekin phir bhi shab ki tawil khalwat mein tere auqat sochta hun main teri har baat sochta hun main kaun se phul tujh ko bhate hain rang kya kya pasand aate hain kho sa jata hun teri jannat mein main tujhe chahta nahin lekin main tujhe chahta nahin lekin phir bhi ehsas se najat nahin sochta hun to ranj hota hai dil ko jaise koi dubota hai jis ko itna sarahta hun main jis ko is darja chahta hun main us mein teri si koi baat nahin main tujhe chahta nahin lekin
This is a great pasand pe shayari. Please share if you liked this!!!