taKHliq

sar-sabzi masti shadabi jhonkon ka maddham sangit
hare-bhare kheton mein nanhe mane paudon ki sarsar

mitti ke zarkhez badan ki sondhi sondhi si khushbu
ru-pahli chamkili dhup ki pyari pyari si lazzat

pedon ke thande sayon mein shafqat ki halki si aanch
pagdandi ke mod pe lahraate aanchal ki rangini

jismon mein quwwat ki maujen aankhon mein bharpur chamak
hanste khelte nanhe bachche ang ang mein tarrari

zarkhez-o-shadab zamin par hasti yun lahraati hai
jaise ek masum si bachchi gudiya le kar nach uthe

sine bahen zulfen hont jawan jismon ki lahrahat
raqs-o-naghma jam-o-mina saqi ki aankhon ki thakan

mahl-o-aiwan garmi-e-lazzat khwabon ka masrur jahan
masjid ke unche minare mandir ka sone ka kalas

shor-o-ghaugha hangame afsane jaise marne ke
mahkumi kulfat shorish zakhmon ki bauchhaaren har-su

jang qaht bimari hasrat jine walon ki daulat
rang rang ke parcham zulm-o-tashaddud ke sare saman

jine walon ki duniya har lamha rang badalti hai
khasta imkanat ki kadiyan tut ke girti hain

aabaadi aur virana mafhum badalte rahte hain
dukhti roti dharti par hasti shor machati hai

jaise ek nannhi bachchi shafqat ki bhuki chikh uthe
aaj magar sine mein ye ehsas dhadakta hai paiham

main us daur ka insan hun jis mein sare insanon ne
apne jite-jagte azm amn-o-sukun ki quwwat se

ek nae imkan ki shama raushan ki hai dharti par
ek nai manzil ki jaanib apne qadam badhae hain

quwwat mehnat aur masarrat ke raste apnae hain
ehsasat ki taswiren ye sae daudte lamhon ke

dharti ki takhliq hain is ki god mein phalte-phulte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close