december ke dalan mein is chamakti hui aaftabi tamazat ko ruh mein utare kiran-dar-kiran tum kise dekhti ho khunuk si hawaon ki in sarsaraati hui ungliyon mein jo ek lams mahsus karne lagi ho wo kya hai koi wahima hai? haqiqat hai koi? ki ek khwab hai jo sar-e-rah aa kar mila hai shab o roz masrufiyat mein ghiri ho koi kaam bhi ho use ek lamha nahin bhulti ho! tumhein kya hua hai sadak par rawan apni gadi mein baithi yahan aati jati hui gadiyon mein kise dekhti ho kabhi samna ho to aankhon mein us ki kise dhundhti ho?