ye bujhi si sham ye sahmi hui parchhaiyan khun-e-dil bhi is faza mein rang bhar sakta nahin aa utar aa kanpte honton pe ai mayus aah saqf-e-zindan par koi parwaz kar sakta nahin jhilmilae meri palkon pe mah-o-khur bhi to kya? is andhere ghar mein ek tara utar sakta nahin lut li zulmat ne ru-e-hind ki tabindagi raat ke kandhe pe sar rakh kar sitare so gae wo bhayanak aandhiyan, wo abtari, wo khalfashaar karwan be-rah ho nikla, musafir kho gae hain isi aiwan-e-be-dar mein yaqinan rahnuma aa ke kyun diwar tak naqsh-e-qadam gum ho gae dekh ai josh-e-amal wo saqf ye diwar hai ek rauzan khol dena bhi koi dushwar hai