ek mehrab phir dusri phir kai be-karan tirgi mein huwaida huin koi tha koi hai koi hoga kahin saaten tin ek sath paida huin ruh ke hath mere badan ka gala ghunt kar thak gae hath mere badan ke bhi utthe magar daman-e-khwahish-e-raegan tak gae ungliyan tut kar kirchiyan ho gain mutthiyan band hone se mujh par khula haddiyan kanch ki mere hathon mein thin ab mere jism mein meri hi kirchiyan dhundhti phir rahi hain mujhe aur main apne tute hue hath thame hue khauf ki is gupha mein chhupa hun jahan ek mehrab phir dusri phir kai be-karan tirgi mein huwaida huin koi tha koi hai koi hoga kahin saaten tin ek sath paida huin