tamasha-gah-e-lala-zar tiyatar pe meri nigahen jami thin mere kan music ke zer-o-bam par lage the magar mera dil phir bhi karta raha tha arab aur ajam ke ghamon ka shumar tamasha-gah-e-lala-zar! tamasha-gah-e-lala-zar ab iran kahan hai ye ishqi ka shahkar iran ki rustakhez ab iran hai ek nauhagar pir-zal hai muddat se afsurda jis ka jamal madain ki viraniyon par ajam ashk-rez wo nau-sherwan aur zar-dusht aur dariyush wo farhad shirin wo kai-khusro o kai-qabaad hum ek dastan hain wo kirdar the dastan ke! hum ek karwan hain wo salar the karwan ke! tah-e-khak jin ke mazar tamasha-gah-e-lala-zar! tamasha-gah-e-lala-zar magar nauha-khwani ki ye sargirani kahan tak? ki manzil hai dushwar gham se gham-e-jawedan tak! wo sab the kushada-dil o hosh-mand o parastar-e-rabb-e-karim wo sab khair ke rah-dan rah-shanas hamein aaj mohsin-kush o na-sipas wo shahanshahan-e-azim wo pindar-e-rafta ka jah-o-jalal-e-qadim hamari hazimat ke sab be-baha tar-o-pu the fana un ki taqdir hum un ki taqdir ke nauhagar hain usi ki tamanna mein phir sogwar tamasha-gah-e-lala-zar! tamasha-gah-e-lala-zar urus-e-jawan sal-e-farda hijabon mein mastur gurisna nigah zud-karon se ranjur magar ab hamare nae khwab kabus-e-mazi nahin hain hamare nae khwab hain aadam-e-nau ke khwab jahan-e-tag-o-dau ke khwab jahan-e-tag-o-dau madain nahin kakh-e-faghfur-o-kisra nahin ye us aadam-e-nau ka maawa nahin nai bastiyan aur nae shahryar tamasha-gah-e-lala-zar!