subh ka hansta sitara tanha kaun jaane raat bhar kis karb se guzra hai in ghane pedon se lambe tez danton wale ifrit nikal kar tedhi tangon bad-numa pairon se komal chandni ke farsh par nache khurdure hathon se phulon ke jigar chaak kiye apni nazron ki siyahi se nikharte hue rangon ke charaghon ko bujhaya apne nafrat-bhare sanson ki bhadakti hui aatish mein mohabbat ki mahakti hui sandal ko bhasm kar dala subh ka hansta sitara tanha kaun jaane din bhar ab kis aag ke dariya se guzre aaftab apni damakti rath mein shab ke ifriton ko masnad par bithaega to sachchai ke phulon par bhi moti dhul jam jaegi aankhen pathra jaengi rangon ka tamasha to rahega bas ud jaegi koi zahr ka pyala na honton se lagaega sitara sham ko apne lahu mein phir nahaega