jhankta hai teri aankhon se zamanon ka khala tere honton pe musallat hai badi der ki pyas tere sine mein raha shor-e-bahaaran ka kharosh ab to sanson mein na garmi hai na aawaz na bas tu ne ek umr se bazu bhi nahin phailae phir bhi banhon ko hai sadiyon ki thakan ka ehsas tere chehre pe sukun khel raha hai lekin tere sine mein to tufan garajte honge bazm-e-kaunain teri aankh mein viran sahi tere khwabon ke mahallat to samjhe honge garche ab koi nahin koi nahin aaega phir bhi aahat pe tere kan to bajte honge waqt hai nag tere jism ko dasta hoga yakh kar tujh ko hawaen bhi bipharti hongi sab tere sae ko aaseb samajhte honge tujh se ham-joliyan katra ke guzarti hongi kitni yaaden tere ashkon se ubharti hongi zindagi har nae andaz ko apnati hai ye fareb apne liye jal nae bunta hai raqs karti hai tere honton pe halki si hansi aur ji ko koi ruh ki tarah dhunta hai lakh pardon mein chhupa shor-e-aziyyat lekin dil tere dil ke dhadakne ki sada sunta hai tera gham jagta hai dil ke nihan-khanon mein teri aawaz se sine mein fughan paida hai teri aankhon ki udasi mujhe karti hai udas teri tanhai ke ehsas se dil tanha hai jagti to hai to thak jati hai aankhen meri zakhm jalte hain tere dard mujhe hota hai